Online Shopping Kaise Karen in Hindi (Step-by-Step) Guide 2021

Online Shopping Kaise Karen in Hindi - Aaj ki duniya gajab ki teji waali duniya hai. Har insan har cheej me aage rehna chahta hai, chahe koi khel ho ya koi competition, har koi har cheez sabse pahle karna chahta hai, sabse pahle pana chahta hai. Short me kaha jaye to – Aaj kal kisi ke paas time nahi hai. Bhala ho Internet aur Online duniya ka. Jin kaam me pahle logon ko pura-pura din lag jaata tha aaj ke time me vo minute me ho jaate hai. Isi tarah ki ek cheez hai Shopping, Online Shopping ne puri duniya ko badal kar rakh diya hai.
Online Shopping Kaise Karen in Hindi


Lekin bahut se log aise hai jo aaj bhi online shopping ki duniya se door hai. Kyi log chah kar bhi sirf is liye Online Shopping nahi karte kyunki unhe is baare me puri knowledge nahi hoti, jaise ki – Online Shopping kaise karte hai, Internet se koi cheez kaise kharidi jaati hai, Online Shopping ki payment kaise ki jaati hai. Agar aap bhi aisi hi kisi vajah se abhi tak online duniya se dur rahe hai to Mubarak ho! ab nahi rahna padega, to chaliye ab hum aapko batate hai kaise..


  1.  Online Shopping ke liye jaruri Cheezein


  1. Shopping Website Par Jaaye


  1.  Apni Jarurat Ka Saman Search Kare


  1. Apne Saman Ko Cart (Shopping Basket) Me Add Kare


  1. Proceed to checkout (Bill Taiyar Kare)


  1. Apna Customer Account Banaye (Sign Up) 


  1. Bill ki Payment Kare


  1. Gift/Discount Coupon Istemal Kare


Online Shopping Tips in Hindi


Online shopping karna behad aasan hai, agar aapke man me iske baare me koi shanka hai to aaj hamesha ke liye door ho jayegi. Bas ab aap relax ho jaaye aur dhyan se humari ye `Step-by-Step Online Shopping Guide` padhe. Isme hum aapko online shopping se judi har ek choti se choti aur badi se badi cheez ke baare me pure detail me btayenge, taki kisi bhi tarah ka koi doubt na rahe. To chaliye ab shuru karte hai..


 Online Shopping ke liye jaruri Cheezein


Online shopping karne ke liye hume jin kuch cheezo ki jarurat padegi vo hai..


  • Email ID (Shopping website par apna account banane ke liye)Money (Product ki payment ke liye account me paise hone chahiye)Debit/Credit Card ya Net Banking (Payment karne ke liye)Address (Aapke product ki delivery ke liye proper address)


  • Bas agar aapke paas ye basic cheeze hai to aap taiyar hai Online Shopping ki duniya me kadam rakhne ke liye. Ab hum aapko har ek Step ki jankari khul kar dete hai. 🙂


1. Sopping Website Bilkul Ek Market Jaisi Hoti Hai


Jaise aapko koi cheej leni hoti hai to aap market jaate hai, bilkul usi tarah jab hume Online Shopping karni hoti hai tab hum Online Markets yaani ki Shopping Websites par jaate hai. Asal duniya ki tarah hi Internet par bhi bahut sari market hai aur ye humari marji hoti hai ki hum kis market yani ki Shopping Website se shopping karte hai.


 India ki kuch sabse famous Online Shopping Websites hai : Amazon, Flipkart, SnapDeal, ebay etc, besak aap online shopping karte ho ya na karte ho par inme se 1-2 ke naam to aapne jarur sune hi honge. 


Ab hum apni marji aur pasand anusar Shopping ke liye koi bhi ek Shopping Website ko open karte hai. Chaliye hum Amazon ko open kar lete hai. Aap koi website choose kar sakte hai.


2. Apni Jarurat Ka Saman Search Kare


Ek baar website khul jaane ke baad, jis tarah aap kisi shop par apni jarurat ke saman ke baare me btate hai, bilkul vaise hi aapko, Amazon ko batana hai ki aapko kya chahiye ya aap konsi cheez lene yha aaye hai. Aur website ko aap ye batate hai usi website ke `Search Engine` ki help se. Aapko bas site par Search Bar dekhna hai (jo normally top par aapko badi aasani se dikh jayega) aur jha aapko vo blank box dikh jaaye vha aap us cheej ka naam likh kar search kare jo cheez aapko chahiye.


Website par aapko kuch bhi pasand aata hai toh fir aap uss cheej ke baare me site par hi sab kuch detail me jaan sakte hai, har cheez ke saath uski puri jankari aapko mil jayegi. 


Har shopping site par cheej ki saari proper details (Description) jarur di jaati hai aur details ke sath reviews bhi hote hai jo aapko ye btate hai ki dusre log us cheej ke baare me kya bolte hai. Isliye kabhi bhi koi bhi saman dekhne ya lene me jyada sochiye mat. Bas apni pasand ka saman select karle. To ab hum ye maan ke chalte hai ki aapko apni pasand ki cheez mil gayi.


3. Apne Saman Ko Cart (Shopping Basket) Me Add Kare


Aapko ab jo bhi saman pasand aaye hai, unki list shop ko dena bhi jaruri hai isliye aap apni jarurat ke har saman ko apni cart me add karle. Cart ek tokari (Basket) ko kahte hai, jo yeh dhayan rakhti hai ki aapne kya-kya saman pasand kiya hai taki kuch bhi gadbad na ho. 


Apne pasand ke saman ko cart me daalne ke liye apni pasand ke saman ke saath bane `Add To Cart` ke option par click kare aur add karte waqt aap iss baat ka dhayan rakhe ki agar aapko koi cheej ek se jyada chahiye toh aap Cart me Add karte waqt hi Quantity me 2 (ya jitne bhi aapko chahiye) select kar sakte hai.


 Koi bhi product Shopping Cart me add karne se pahle Quantity & Size ka dhyan jaur rakhna chahiye. Is tarah aapka saman na toh kam-jyada hota hai aur na hi aap kuch bhulte hai.


4. Proceed to checkout (Bill Banana)


Ab jab aapne, aapni pasand ka saman pasand Cart me add kar liya hai toh ab time hai bill banwane ka aur apni shopping ko pura karne ka. Aap apni shopping ko pura karne ke liye sabse pehle `Proceed To Check Out` par click kare.


Bas, ab aapki kharidari puri ho chuki hai, ab aap apni shopping ko pura karne ke last step par pahuch chuke hai.


5. Sign Up or Sign In


Ab aapka sara kaam ho chuka hai, bill bhi ban kar payment ke liye ready hai. Ab shopping website aapko apni ID se apne account me Sign In karne ke liye kahega, taki site ko pata chal sake ki – Billl kiske naam par aur kis address par ban-na hai. Agar aapka pahle se account bana hua hai to apni email ID ya mobile phone number aur Password daal kar Sign In kar lein.


Agar aap us site par bilkul new ho to aapko ek account banana padega jo bilkul aasan hai. Hum aapko batate hai ki Amazon ya kisi bhi shopping website par apni ID (Account) kaise banaye.


Sabse pahle vha diye gaye Sign Up `I’m a new member` button par click kare.


Uske baad apna naam, email address aur apni pasand ka koi password daal kar `Create your Amazon account` par click kare.


Fir apni email ID khol kar ek baar apna account confirm kar lein.


Uske baad apna contact no. aur apna Ghar, Office ya kahi ka bhi vo address website par dale jaha par aap chahte hai ki aapka saman aapko mile.


Note(s)


  • Apne account me apna pura address daale aur ek baat ka ache se dhayan rakhe ki address me koi bhi galti na ho varna aapka saman kisi aur ke paas bhi pahuch sakta hai.


  • Account banane ke baad apna Username ya email ID aur apne account ka password kisi achi jagah par save kar lein taki us website par aage fir kabhi dubara account na banana pade, ek baar account banne ke baad aap usi account se jitni marji bar shopping kar sakte hai. Lekin har website ki alag ID banti hai. 


  • Amazon par aapne jo Account banaya hai usse Flipkart par shopping nhi kar sakte, jab aapko Flipkart se shopping karni hogi tab Flipkart ki apni ek alag ID banegi.


  • Kuch shopping websites aapko Facebook ID ke saath bhi login karne ka option deta hai. 


  • Agar aap Sign Up nahi karna chahte hai to direct apne Facebook account ke saath bhi log in kar sakte hai.


6. Aapki Payment Kaisi Ho Ye Aapki Choice Hai


Ab aapki sari shopping ho chuki hai aur bill bhi taiyar hai. Ab agar kuch baki hai toh woh hai payment karna. Aap apni payment ko kyi tareeko se kar sakte hai. Aur wo payment options hai.


  • Credit Card

  • Debit Card

  • Net Banking

  • Cash On Delivery


Note: Cash on Delivery option har cheez ke sath available nahi hoti. Agar `Cash on delivery option available hai to aap ye option choose kar sakte hai varna aapko abhi payment karni hogi.


Bill ki payment karne ke ye tarike kafi aasan hai aur aapko inme ko problem nahi aayegi. Ab apni marji aur suvidha anusar aapko jo theek lage us tarah bill ka payment kare. Aapko jaise sahi lagta hai vaise payment method select karke apni shopping ko pura kare.


7. Agar Koi Gift/Discount Coupon Ho Toh Jarur Istemal Kare


Ab jab aapne apna sara saman le liya hai aur bill dene ka time aa gya hai toh ab agar koi scheme mil jaye toh kitna acha hai. Aap apne bill ke final hone se pehle usme koi bhi Gift Coupon istemal karke apne bill me kuch kami la sakte hai.


 Agar aapko kisi bhi special offer ka koi bhi coupon milta hai toh ab bilkul sahi time hai usko use karne ka. Aap apna coupon code bill me daal de. Isse aapke bill par coupon se milne wala discount aapko tabhi ke tabhi hi mill jayega.


Congratulations, Ab aapki shopping puri ho chuki hai, aapka saman bahut jaldi hi aapke paas hoga 🙂 Generally delivery me 3-4 din ka time lagta hai. Payment ke baad aapko email aur message ke dwara lagatar update bhi milti rahegi ki, aapke Order ka status kya hai aur kab aapka saman aap tak pahuchega. Shopping ke baad apne account se Log Out karna na bhule.


To doston, humne aapko Online Shopping ke baare me har ek cheez pure vistaar me samjha di hai, Ab aapko kabhi bhi online shopping karne me koi bhi problem nahi aayegi. Aur agar fir bhi, kabhi bhi, kisi bhi tarah ki koi dikkat ya problem aati hai to aap humse comment ke jariye puch sakte hai. Ab khoob mehnat karo, paise kamao aur khul ke Online Shopping karo aur Bindaas Jiyo 🙂 Mai bikkey aapse Bye karta hau , ab milenge next Post me. 


Jai Hind, Jai Johar.



Post a Comment

Previous Post Next Post

Contact Form